Surprise Me!

Akhtar Jawad - Sapne Dekhte Raho

2014-06-16 105 Dailymotion

Sapne dekhte raho,
Aur unko sochte raho.
Aur unse khelte raho,
Aur unko tolte raho,
Aur unko bolte raho,
Sapne dekhte raho.

Nahin to jee na pao ge,
Yeh dukh na bhool pao ge,
Yeh sapne jab sunao ge,
Kavi ka man pao ge,
Inhi se geet bhi racho
Sapne dekhte raho.

Muhabbaton ke khawab ko,
Kabhi nahin jawab do,
Inhein to bas gulab do,
Shabab do sharab do,
Piyo pilao aur piyo,
Sapne dekhte raho.

Yeh sapne hon jo peyar ke,
Ya ma ke hon dular ke,
Ya dharti ke nikhar ke,
Khizaon mein bahar ke,
Sapnon ke liye jiyo,
Sapne dekhte raho.

Yeh sapne shanti ke hon,
Ahinsa kranti ke hon,
Maliha Malti ke hon,
Ya Ravi Tapti ke hon,
Sapnon ke liye maro,
Sapne dekhte raho.

Akhtar Jawad

http://www.poemhunter.com/poem/sapne-dekhte-raho/