Teri julfe hai ya badal
Bana deti ho kyon pagal
Chamak aisi ki mit jaon
Lachak aisi simat jaon
Bhhigota mujhko hai har pal
Ghata savan ki ye kal-kal
Teri julfe hai ya badal
Bana deti ho kyon pagal
Teri masoom nigahen
Meri sooni hai ye banhe
Teri hirni si adaaen
Teri khushboo si ye anchal'
Teri julfe hai ya badal
Bana deti ho kyon pagal
Teri qadmo ki ye ahat
Teri dhadkan, meri chahat
Tere honton ki trane
Khawabo ki tuhi hai halchal
Teri julfe hai ya badal
Bana deti ho kyon pagal
Aftab Alam
http://www.poemhunter.com/poem/teri-julfe-hai-ya-badal/