Zidigi ay zindigi tujhse main ukta geya,
Yeh jagah hay kaun si main kahan per aa geya.
Apnon ne ayse dukh diye jinka beyan mumkin nahin,
Keya kahoon kisse kahun keya kho geya keya pa geya.
Keya bataoon reza reza hoke keyun bikhra hoon main,
Main khud apne aap se ghabra geya takra geya.
Tujhko kho kar yun laga shayed khuda bhi kho geya,
Tujhko pakar yun laga tha main khuda ko pa geya.
Phool kante bun gaye dil mein jakar chubh gaye,
Na zamin hi hil gayee na aasman tharra geya.
Pehle hi keya pas tha han ek bharam tha jo geya,
Loot kar rehzen bhi mujhko aaj to sharma geya.
Chup raho Akhtar ke khamoshi hi mein hay aafiat,
Keya zamana kho geya aur keya zamana aa geya.
Akhtar Jawad
http://www.poemhunter.com/poem/ghazal-keya-kho-geya-keya-pa-geya/