Surprise Me!

Akhtar Jawad - Badibee aur Bademian

2014-10-29 7 Dailymotion

Pehle to kabhi na mile tum ham kyun apni apni lagti ho,
Manoos si khushboo aati hay jab tum zulfon ko jhatakti ho.
Har ang shanasa lagta hay har rang shanasa lagta hay,
Nazdeek se dekhoon aakhir keyun, tum mere dil mein utarti ho.
Honton ka tabassun wysa hi jab pehle pehel dekha tha use,
Yeh jado purana lagta hay, jab dheeme suron mein hansti ho.

Main Charon taraf se dekhoon tumhein, pehchanoon tumhein,
Keya hoor bhi meri dharti per yun phirti hay yun chalti hay.
Tum koi bhi ho keya karna hay, bas tumse muhabbat karna hay,
Ab tumper dil aaya hay mera, yeh hasti nahin bas masti hay.
Tum aain to rut bhi baalne lagi, Who thandi hawaen chalne lageen
Who dekho amber nachta hay, who kali badarya barasti hay.

Bade mian khamosh raho yeh harbe tumhare purane hayn,
In sheyron ki chandi ab mere rookhe balon mein jhalakti hay.
Alfaz ki jadoogari choro yeh sona to dil mein utar bhi chukka,
In phoolon ki khusboo se din keya, yeh rat bhi meri mehekti hay.
Ek shadi mein jana hay mujhko, tayyar main ho kar aai hoon,
Yeh beti tumhari ladli hay jo jee chahay who karti hay.
Acha meri in aankhon mein jhanko to zara aur sach bolo,
Yeh boorhi aurat ab bhi tumhein pehle si achi lagti hay.

Acha to badi bee yeh tum ho in naynon ka vishvas bhi keya,
Tum ab bhi dhanak ban sakti ho, tum ab bhi chand si dikhti ho,
Is man ka mere sangeet suno, tum ab bhi roop ho yovan ho,
Darpan mein yunhi dekho to sahi, tum solah baras ki lagti ho.

Akhtar Jawad

http://www.poemhunter.com/poem/badibee-aur-bademian/