Namukammal thi mukammal mujhe karne walo,
Bas isi lafz ki khatir hui aurat paida,
Warna kahti mere malik mujhe aurat na bana,
Teri dunya mein to aurat na rahe gi zindah,
Tu to khud dekh raha ho ga ke dunya mein teri,
Ek samane tayyush ke siwa kutch bhi nahin,
Chori hoti hay kabhi aur kabhi dakon mein luti,
Sirf bazar nahin ghar mein bhi bikte dekha,
Larkharate hue dekha ise girte dekha,
Aur gir gir ke har ek gam pe uthte dekhe,
Aag ke sholon mein zindah ise jalte dekha, ,
Maine tezab mein aurat ko pighalte dekha,
Ek ilzam pe sangsar hui hay aurat,
Aur deewar mein zinda ise chunte dekha,
Aaj bhi khoon ubalta hay jahan per aurat,
Zindah dafnai gai jurm tha aurat hona,
Abto paida nahin hoti hay ke qatil iske,
Usse pehle hi sula deta hayn ek maut ke neend,
Keya karoon mujhko mukammal bhi to hona tha kabhi,
Bas isi lafz ki khatir main hui thi paida,
Mere bacho mujhe ma'n keh ke bulane walo.
Bano Ali
http://www.poemhunter.com/poem/ek-lafz-ek-rishta/