tum bin sard lag raheen hain
yeh aktuber ki khunk raatain
yeh malaal bojhal ker raha hai
merey pur nam palkain
tumharay kadmoon ki chaap
kia ab kabhi na sunai dey gi
iss sawal se dub dubba gae hain
merey dil ki anginit dharkanain....
iss malaal ki karwahat mujhay
muskuranay nahi deytee
iss malaal ki dilkashee mujhay
munh pheray nahi deytee
yeh malaal hi ab tum ho
yeh malaal hi ab mai hoon
yeh malaal hi ab hum hai
be nishan, bad gumaan, tanha.
wardha jawdat
http://www.poemhunter.com/poem/malaal-regret-urdu-poetry/