gazab kiya, tere vade pe aitabar kiya  
tamam rat qayamat ka intezar kiya  
 
 
hansa hansa k shab-e-vasl ashk-bar kiya  
tasalliyan mujhe de-de k beqarar kiya  
 
 
ham aise mahv-e-nazara na the jo hosh ata  
magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya  
 
 
fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi  
kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya  
 
 
ye kisne jalva hamare sar-e-mazar kiya  
k dil se shor utha, hae! beqarar kiya  
 
 
tarap phir ai dil-e-nadan, k gair kahte hain  
akhir kuch na bani, sabr ikhtiyar kiya  
 
 
bhula bhula k jataya hai unko raz-e-nihan  
chipa chipa k mohabbat ko ashkar kiya  
 
 
tumhen to vada-e-didar ham se karna tha  
ye kya kiya k jahan ko ummidavar kiya  
 
 
ye dil ko tab kahan hai k ho malandesh  
unhone vada kiya ham ne aitabar kiya  
 
 
na puch dil ki haqiqat magar ye kahte hain  
vo beqarar rahe jisne beqarar kiya
Daagh Dehlvi
http://www.poemhunter.com/poem/ghazal-5-2/