Lyrics: Aye Dil Mujhe Aisi Jagah Le Chal
Singer: Talat Mahmood
Film: Aarzoo (1950)
Aye Dil Mujhe Aisi Jagah Le Chal Jaha Koyi Na Ho
Apana Paraya Meherba Na Meherba Koyi Na Ho
Jakar Kahi Kho Jau Main Nind Aye Aur So Jau Main
Duniya Mujhe Dhundhe Magar Mera Nishan Koyi Na Ho
Ulfat Ka Badla Mil Gaya Woh Gham Luta Woh Dil Gaya
Chalna Hain Sabse Dur Dur Abb Karwan Koyi Na Ho
Aye Dil Mujhe Aisi Jagah Le Chal Jaha Koyi Na Ho
Apana Paraya Meherba Na Meherba Koyi Na Ho