You have come to me now  it is too late 
I confess that you are an embodiment of beauty  
You are the soul of this beautiful garden of the earth 
You have a gentle face and youth of paradise 
 
You are the daughter of the Moon and have come down from the heavens 
If you meet me now there are chances of being dishonorable 
I am facing the punishment of what I have done 
Those days when you loved me I was intoxicated with my youth  
I was obsessed with merry making 
I was infatuated with the love of beautiful women  
I was possessed with the enmity of my rivals  
My life was fixated with the beautiful beds of velvet and fur  
 
My life was like a colorful and a beautiful dream  
I do not want to describe to you my injured youth  
I do not want to tell you my laments and moans 
and my talking full of agony and anguish  
I am the victim of my self deceit  
From where should I bring softness of distraught heart 
How I can create the feelings of Innocence  
================ 
 
 
Jagjit Singh   
 
Ab Mere Paas Tum Aayee Ho To Kya Aayee Ho  
Main Ne Maana Ke Tum Ik Paikar-E-Raanayee Ho  
Chaman-E-Daher Mein Rooh-E-Chaman-Arayee Ho  
Tallat-E-Meher Ho Firdaus Ki Barnai Ho  
 
Bint-E-Mehtaab Ho Gardoon Se Utar Aayee Ho  
Mujh Se Milne Mein Ab Andesha-E-Ruswaayee Hai  
Main Ne Khud Apne Kiye Ki Ye Saza Paayee Hai  
Un Dinon Mujh Pe Qayamat Ka Junoon Taari Thaa  
Sar Pe Sarshaari-O-Ishrat Ka Junoon Taari Thaa  
Maah-Paaron Se Mohabbat Ka Junoon Taari Thaa  
Shehr Yaaron Se Raqabat Ka Junoon Taari Thaa  
Bistar-E-Makhmal-O-Sanjaab Thee Duniya Meri  
 
Ik Rangeen-O-Haseen Khwaab Thee Duniya Meri  
Kya Suno Gi Meri Majrooh Jawaani Ki Pukaar  
Meri Fariyaad-E-Jigar- Doz Mera Lala-E-Zaar  
Shiddhat-E-Karb Mein Doobi Hui Meri Guftaar  
Main Ke Khud Apne Mazak-E-Tarbgee Ka Shikaar  
Woh Gudaaz-E-Dil-E-Magmoom Kahan Se Laaoon  
Ab Mein Wo Zazba-E-Masoom Kahan Se Laaoon  
Ab Mere Pass Tum Aayee Ho To Kya Aayee Ho